Quantcast
Hamad e Ahlebait Mohsin Naqvi Shaheed - Poetry

Site Menu
Watch







Selected Poetry of Mohsin Naqvi Shaheed

Yazeediyat(lanat) ko ye wehm q hai k sirf ek din hisab hoga??
HUSSAIN(as) say jo jahan bhi uljha wahin pay khana kharaab hoga!!

Wo mouj mein hai jis ko mila hai gham-e-HUSSAIN(as)
Qasr-e-iram tu is k liye sang-o-khisht hai!
Jis saltanat pay raaj hai meray HUSSIAN(as) ka..
Oss saltanat ka aik jazeera Bahisht hai!!

Shuja'at ka sadaf menara-e-almaas kehtay hein
Ghareeboun ka sahara baykasoun ki aas kehtay hein
Yazeedi(lanat) sazishein jis k alam ki chaaoun say lerzein
Osay arz-o-sama walay sakhi ABBAS(as) kehtay hein!


Aey Falak Bakht Musaafir Hamein Too Yaad Aea
Aaj ki subh mah-o-sal kay aieney mein
Phir terey khoon ki poshaq pehan kar aaee
Phir dil-o-jaan mein terey qurb ka mosam utra
Phir terey dard ki soghaat muyassar aaee

Aankh mein phir se dehakney lagey khuabon kay gulaab
Phir saba khaak ba sar noha ba lab guzri hay

Phir isi soch mein ghaltaan hay qabila apna
Umr guzri kay terey hijar ki shab guzri hay

Too ne seeney pay sajaai hein kharashein jis ki
vo qiamat bhi kisi aur pay kab guzri hay

Dil ne jab jab bhi teri simt palat kar dekhaa
saj gai raah mein bay reham saleebon ki qitaar

Khaak-e-maqtal pay damakney lagey ashkoon kay nujoom
Chashm-e-qaatil se barasney lagey nafrat kay sharaar
Phir se har taar-e-girebaan pay lagi jabr ki muhar
Khich gaey taa ba falak zulm-u-tashaddad kay hisaar
juz terey kis se kahein ham kay kahaan khatm hooaa
Taziaanon ki zubaan choomtey zakhmon ka shumaar

Aankh mein tair gaey phir teri khushbu kay bhanwar
Phir se qismat ko jagaaney lagey subhoon kae safer
Teri jurrat kabhi talwaar ki surat chamki
Teer ban kar kabhi ubhri teray jazbon ki lakeer

Baarish-e-sang mein jab qeht-e-namoo yaad aaeaa
Tera sach bolta bay bak lahoo yaad aaeaa
Jab koi cheekh tah-e-jabr-u-sitam dafn hooi
Ahl-e-zindaan ko tera nara-e-hoo yaad aaeaa

Jab dar-e-harf-e- sadaaqat pay koi qufl parra
Tera aizaaz-e-rasan tauq-guloo yaad aaeaa
Jab bhi maqtal mein koi chaand hooa zeenat-daar
Aey falak bakht musaafir hamein too yaad aaeaa


Wafa ka zikr kare zikre bawafa na kare,
kisi mei itni ho koshish kbi KHUDA na kare,
hum us faqeer ko khairaat b nai dete,
jo PANJETAN k waselay se ilteja na kare,
ibadatoun pe wo khud apni Fatiha parh lyn,
jo SHAH E DEEN ki kbi majlis e aza na kare,
ALI k nam se jinhe roshan kia jaye,
hifazat aise charaghoun ki q hawa na kare,
koi jo mange SAKINA ka wasta de kr,
tou keise hoga k ABBAS wo ata na kare!
YE KHUTBA HAZRAT ABBAS(AS)KA FOUJ E YAZEED(LA)SE
Kya karoun ek ehad ka paband houn warna,
dikhlaoun mei KARRAR ka KHAIBAR mei utarna,
jis rukh se b hoga mera ek br guzarna,
jine se bhala lagne lage ga tmhyn marna,
wo khoaf bitha doun ga mei sansoun mei abi se,
kanpo ge na guzro ge ALAM wali gali se!

Aab Aur Aatish Ek Jaam, Jis Waqt Hotien Hain Baham,
Bhaap Ki Surat Me Ban Jaata Hai Paani Ashk-E-Gham,
Ab Bata’o Baaz Aayen Kis ‘Tarhe Giriya Se Hum,
Royen Ge Jab Tak Baaqi Hai Yeh Dam Me Dam,

Naaz Hai Mohsin Humhe Apne Shalakte Jaam Par,
Hum Bahatien Hai Yeh Ansoo’n Tishnalab Ke Naam Par,

E-Shaheed-E-Kerbala Ke Gham Ke Ghamkhwaro’n Utho,
E-Nabi Zaadi Ki Beti Ke Albelay Guneghaaro’n Utho,
Kis Liye Behte Ho Mowla Ke Azadaro’n Utho,

Ghaar Do Har Ek Bulandi Pe Alam Islam Ka,
Aur Kalimah Parwa Do Hussain Ibn Ali Ke Naam Ka…

Badhti hai barhami si zara noor-e-ain mai
Milta hai izteraab yunhi dil kay chain mai
Sailaab daikhta hon toh aata hai yeh khayal
Paani bhatak raha hai talaash-e-Hussain mai

Badli museebton ki jo chaai thi chhat gayi
Mushkil meri hayat kay raston say hat gayi
Mai nay ALI ka naam liya jab jalaal mai
Ghabra kay meri maut bhi waapas palat gayi
LAIN A AZAM BHARAK NA ITNA
A BANT LATA HAIN BHAKHAT APNA
BANU UMIA KEE NASAL TARI
BAS AIK SHAH A MASHRAQUEEN MARA
KHUDA KEE LANAT TARA MUKADAR
KHUDA KEE REHMAT MARA NASIBA
MUJ KO TO MANZOOR HA YA SODA
YAZID TARA HUSSAIN MARA

Mujhe Sukhn Ka Saleeqa Mila Tere Darr Se
Zameen e Fikr Pe Bikhra Hua Hai Rang Tera
Azl Se Tu Mera Dataa Hai Ae Uloom Ke Darr
Abd Talak Mei Gadagar Tera, Malang Tera













Watch

Live from Roza e Imam Ali (AS) Najaf
Channel 2     Channel 3


Live from Roza e Imam Hussain (AS) Karbala
Quick Links















Copyright Tariq Jhangvi © 2024


Free web hostinguCoz